اسلام
khwab mein Seesa Dekhna
Sarb (seesa)
hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki uske paaws seesa hai daleel hai ki duniya ka khaseen maal haasil karega aur agar dekhe ki seesa pighalata hai daleel hai ki badi ke saath logon ki zuban par padhega.
rasaas (seesa)
(1) khwab main yeh awaamulnaas aur nichle tabqe par dalaalat karta hai.
(2) agar kisi ne dekha ki usne seesa liya hai toh daleel toh daleel woh maal hai jo woh majusiyon se lega.
(3) aur agar kisi ne pighla hua seesa liya toh usko chahiye ki uske qabja main jo maal hai uski hifaazat kare ki woh haath se nikal jaaye.
(4) aur agar jaamad ho toh koi harz nahin.
(5) aur agar kisi ne dekha ki woh seesa pighla raha hai toh usse kisi aam muaamla main jhagdha kiya jayega aur logon ki zubanon ka nishana banega.
(6) aur seesa usse banne wali cheezain ghaday, baratan, shikaar ke saaman par bhi dalaalat krta hai.
rasaasi (seesa gar)
khwab main usse muraad kamzor aur fasaadi aadmi hai.
rasaas (seesa)
(1) khwab main kisi huqeer cheez ka haasil karta hai jo batore ibrat ya shohrat ho.
(2) aur baaz dafaa usse muraad yeh hota hai ki dekhne wala sakht mazaaj, jari hai, behaya hai kahne main aur koi kaam karte hue tawaqqaf nahin karta.