اسلام

khwab mein Salam karun (salam karna)

Salam


1) hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main dekhne ki kisi dost ne us ko salam kiya hai daleel hia ki woh dost us se khushi dekhega aur agar dekhe ki kisi dushman ne us ko salam kiya hai daleel hai ki woh dushman us ka dost ho jaega.

2) aur agar dekhe ki kisi na maaulum shakhs ne us ko salam kiya hai jis ko na dekha tha daleel hai ki koi musafir us ka dost aur aashna banega.

3) aur agar dekhe ki kisi budhe ne us ko salam kiya hai jis ko pahle na dekha tha daleel hai ki koi huq taala ke azaab main aman main hoga

4) aur agar dekhe ki kisi aashna budhe ne us ko salam kiya hai daleel hai ki khubsurat aurat karega.

5) hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ko kisi dost ne salam kiya hai aur us ko salam ka jawab nahin diya hai daleel hai ki un har dau ke darmiyan juzae karega.

6) hazrat jabir magrabi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ko jawan aurat ne salam kiya hai daleel hai ki duniya ka iqbal paega.

7) aur agar dekhe ki namaz main hai aur us ne bayein taraf salam kiya hai daleel hai ki us ka kaam pareshan hoga.

8) hazrat jaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main salam chaar wajah par hai (1) aman (2) shadi (3) iqbal (4) maal ki munafaqat.

salm (toot jaana/dandane padhna)

yeh sahab ya us ke maal main nuqsan waqe hone ki daleel hai aur yeh khwab kabhi gaaeb aur jaane wale se sulah par bhi dalaalat karta hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!