اسلام

khwab mein Babbar Sher dekhna


Babar ek qism ka sher hai. hazrat Ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ke har ek darinda janwar sher ka dushman hai aur is ko khawab mein daikhta quwwat aur dilair dushman hai lekin kareem aur meharban hai aur agar dekhe ke babar ke sath larai kar ke is ko maghloob kar liya hai to Daleel hai ke dushman par ghalib aeye ga aur agar is se maghloob ho gaya to dushman is par fatah paye ga aur agar dekhe ke babar us se dar kar bhaag gaya hai to Daleel hai ke dushman se aman mein rahay ga .

hazrat ibraheem kirmani rahamatullah alayeh ne farmaya hai ke babar ki haddiyan aur baal chumda khawab mein dekhna maal aur Manfiat hai jo dekhe honay ke qabar ke mutabiq is ko dushman se haasil ho ga aur agar dekhe ke har betha hai aur woh is ka Mutee hai to Daleel hai ke dushman is ka tabedar ho ga.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!