اسلام
khwab mein Koocha dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki woh aabaad kooche main hai daleel hai ki us ko khair wa munafaat pahunchegi khaas kar agar us main mazlah log hain aur agar us ke khilaaf dekhe toh daleel hai ki us ko badi aur nuqsaan aur zarar pahunchega hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki farakh koocha main muqeem hai toh us ke liye gham wa andwah par daleel hai.