اسلام

khwab mein harna(Shikst, Harna)


Hazeemat (shikast)

1. khwab main mohadeen ko shikast ki haalat main dekhna byeedari main myeedane jang main un ke saabit qadmi aur kamiyabi ki daleel hai badleel qaul taale “maghloob hone ke baad dobara ghalba paege”

2. kisi ne khwab dekha woh shikast khurdah toh hua magar khauf zinda nahin toh ye us ke marne ki daleel hai.

3. khwab main fojiyon ko haalate shikast main dakhile shahar hona byeedari main un ke saath madad ke shamile haal hone ki basharat hai.

4. baaghi fojon ka shikast khurdah haalat main shahar ke andar dakhil hona un par allah taala ki taraf se azaab aane ki alaamat hai.

5. kisi ne khwab dekha ki woh khauf zada hua aur shikast kha gaya magar dushman ki us tak rasai nahin hui toh dushman ki taraf se u ko sakht takleef pahunchegi phir us se nijaat paega aur kamiyabi haasil hogi.

6. khwab main dushman se chhup jaana byeedari main us par kamiyabi haasil karne ki daleel hai.

7. dushman ka us ke baare matalaa hone dushman ki taraf se takleef pahunchne ki alaamat hai.

8. khwab main dushman ke khauf se larzah bar andaam hona aur aazaa dheele hona gham ki alaamat hai.

9. dushmanon ko khwab main shikast ki haalat main dekhna byeedari main bhi usn ki shikast hone ki daleel hai.

10. momeen ka khwaab main shikast khana byeedari main dushmanon par ghalba pane ki daleel hai.

11. ghaddar fozon ko shikast ho kar kisi shahar main dakhil hona kamiyabi aur dushmanon par ghalbe ki basharat hai.

12. zulm karne wali foz ke liye shikast kha kar dakhil shahar hona allah taala ki taraf se azaab aane par dalaalat karta hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!