اسلام

khwab mein Eisa Alaih Alsalam dekhna

1. khwab main hazrat eisa alayehi alsalam ke deedar se musharraf hone wala shakhs kaseer kher wala mubarak aur allah taala ke liye kasrat se safar karne wala, allah taala ke ahkaam ko baja laane wala, thodha rizaq par raazi hone wala aur tab ko jaanne wala hoga.

2. baaz ahal taabeer ke qaul ke ba moajjab khwab main hazrat eisa alayehi alsalam ka deedar karne wale ko usi saal koi napasandeeda amar pesh na hone aur apne matloob ko paane aur us main maharat haasil karne ki daleel hai.

3. kisi ne khwab mian hazrat eisa alayehi alsalam ko dekha toh us ke zahid hone, zameen main siyaasat karne aur khauf o har us se nijaat paane ki daleel hai.

4. khwab main baar baar eisa alayehi alsalam ko dekhna tab main ayesi maharat haasil karne ki alaamat hai ki jis ki barabari us ke humsiron main se koi bhi nahin kar sake.

5. gham o takleef main mubtala logon ka khwab main hazrat eisa alayehi alsalam ko kisi shahar ya jama masjid main apni taraf dekhte hue dekhna us gham o takleef se nijaat paane par dalaalat karta hai. is liye ki hazrat eisa alayehi alsalam allah taala ki ruh aur rahmat hai. aur agar salamati aur rahmat main hain khwab mazeed nazoole rahmat o salamati ki daleel hai.

6. hazrat eisa alayehi alsalam aur un ki walida hazrat mariyam alayehi alsalam ko kisi muqaam main dekhna us muqaam main azeem maamla ya nishaani pesh aane ki itlaa hai.

7. khwab dekha goya woh hazrat eisa alayehi alsalam ki soorat main hua ya un ka libas zaib tan kiya toh taabeer sahibe khwab ke mutabiq hogi chunancha agar sahibe khwab badshah hai toh us ki saltanat azeem hogi agar aalim hai us ka nafaa kaseer hoga aur fazeeliyat zyada hogi. aur agar tabeeb (hakeem/doctor) hai toh us ki shohrat hogi aur taufeeq o fazeeliyat main zyadati hogi.

8. khauf zada aadmi ka khwab main hazrat maseeh ka deedar karna khauf se maamon hone par dalaalat karta hai.

9. kisi muqaam main hazrat eisa alayehi alsalam ko dekhna us muqaam par nazoole barkat aur izzat ki alaamat hai.

10. mareez ka khwab main hazrat maseeh alayehi alsalam ka deedar karna marz se shifayab hone aur nijaat paane ki alaamat hai.

11. khwab main hazrat eisa alayehi alsalam ko beemar dekhna sahibe khwab ke marne ki taraf ishara hai.

12. kabhi un ki ruiyyat ayesa taajjub khez shai ke zaahir hone ki alaamat hai jis se log taajjub karne lagein aur kabhi deedare maseeh alayehi alsalam adal o insaaf aur kashadgi ki bhi alaamat hota hai.

13. haamila aurat ka khwab main eisa alayehi alsalam ko dekhna tabeeb bachcha janne apr dalaalat karta hia.

14. kabhi un ki ruiyyat deen main shak karne ki alaamat hoti hai chunanche yahudiyon ne kaha “humne eisa alayehi alsalam ko qatal kiya aur sooli pe chadha diya aur allah taala farmata hai tarjuma na un ko qatal kiya na sooli par chadhaya. aur eisayion ne kaha “maseeh allah ka beta hai” aur allah taala farmata hain “allah taala kisi ko apna beta nahin banata.”

15. baaz ke nazdeek ek un ki ruiyyat eisayion ke zaahir hone ki hoti hai.

16. kareegar ya tab ka amal karne wala shakhs khwab main agar eisa alayehi alsalam ko dekhe toh daleel hai us ke mutaalik amoor us ek liye aasaan honge aur us se istafada karega.

17. kabhi hazrat maseeh alayehi alsalam ki ruiyyat lagne phir us se bari hone ki taraf bhi ishara hai.

18. kabhi un ko khwab main ziyarat karna naa ghamon wa humoom, takleef, kisi par tohmat lagane aur ek jagah se dusri jagah muntaqil hone par bhi dalaalat karta hai.

19. aur kabhi us ki ruiyyat azaaib ke zaahir aur kabhi kisi khuskhabri aane ki alaamat hoti hai. is liye unhone rasool allah taala sallalahu alayehi wasallam ki tashreef aawri ki khushkhabri di hai.

20. aur deedare eisa alayehi alsalam dua ki qabuliyat ki basharat hota hai.

21. aur ziyarat ibne mariyam alayehi alsalam badhon par ghussa karne ki daleel hoti hai.

22. kabhi doston aur shagirdon ki taraf se huzze wafir milne par dalaalat karta hai.

23. khwab main kisi bachche ka hazrat ibn mariyam alayehi alsalam ko dekhna us ke yateem ho kar walida ke zair tarbeeyat parwarish paane, saleh aur aalim hone par dalaalat karta hai.

24. kabhi un ki ziyarat sar aur shaam ki taraf aur shaam se misra ki taraf kuch karne par bhi dalaalat karti hai.

25. kisi gumnaam shakhs ka khwab main hazrat maseeh alayehi alsalam ki ziyarat karna us ke husne aaqibat par dalaalat karta hai. is liye ki qareebe qayaamat main hazrat eisa alayehi alsalam aasmon se nazool farmayeinge aur dajjal ko qatal kareinge aur zameen ko dala o insaaf se bharenge jesa ki zulm o zor se bhar gai thi.

26. kisi kaam main hazrat ibn mariyam alayehi alsalam ka nazool un main adal ke zahoor aur barkat ke nazool aur kuffar ki halaakat aur moamineen ke saath allah taala ki madad shamil hone ki alaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!