اسلام
khwab mein Godeeha ka Dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sab rason se zyada behtar khajoor ka ras hai us ke baad badaam ka aur phir roti ka hai aur us ke baad sab se kam faaida khashkhash ka hai aur agar dekhe ki khajoor ka guda khata hai daleel hai ki usi qadar bakhil se maal haasil karega aur agar sheerai khashkhash khaya hai daleel hai ki usi qadar maal haasil karega lekin us ka faaida kam tar hoga aur agar dekhe ki roti ka sheerah peeya hai daleel hai ki usi qadar maal paarsa shakhs se haasil karega aur agar dekhe ki us ke paas mazkura sheere sab maujood hain aur un main se kuch khaya hai toh gujishta bayan karda cheezein us ko haasil hongi.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sheereen aur khush zaaiqa sheere neki par daleel hain aur jo talkh aur be mazah hain badi par daleel hain.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sheereen aur khush zaaiqa sheere neki par daleel hain aur jo talkh aur be mazah hain badi par daleel hain.