اسلام

khwab mein Girja ka Dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki kaleesa main gaya hai aur us main qible ki taraf namaz padhi hai daleel hai ki woh gunah se tauba karega aur deen main qawi hoga kyon ki kaleesa ibaadat ki jagah hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki kaleesa main hai daleel hai ki raghbat par satoon ki taraf hogi khaas kar agar un ke qible ki taraf rukh kar ke namaz padhe.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki mandir main gaya hai agar sahibe khwab paarsa hai toh daleel hai ki bura ho jayega khaas kar agar dekhe ki us main rihaaish akhtiyar karli hai.

girja ya yahudi wa nasara ka ibaadat khana

1. khwab main girja dekhna ahale girja ke nazdeek ek ilm wa amal aur duniya se be raghbati ki daleel hai aur khashiyat aur rone par bhi dalaalat karta hai aur kabhi khwab main girja dekhna gham aur tang dasti aur jhoot aur bohtaan aur khauf par dalaalat karta hai aur kabhi girja ki dalaalat bidaat zulm ke maqaamat khel ke muqaam shar ki chaahat gundi jagahon gundagi zawajah aur londi par bhi hoti hai aur kabhi haakim ke zaalim hone par dalaalat karta hai.

2. agar koi shakhs girja main daakhil hua toh woh shaadi karega ya us ke haan baita paida hoga ya hidayat ke baad gumrah hoga khususan agar us main rakhe gaye buton ko sajdah kiya us ko bosah diya ya qurbani main us ke saath shareek hua ya agar us ke gale main zinar ho.

3. agar us main allah taala ka zikar kiya aur un ke afaal ko napasand kiya toh amar bil maaruf aur nahin an al munkir apne qadar aur martaba lihaaz se kareag aur kabhi khwab main girja dekhna shayateen ke rahne ki jagah dekhne par dalaalat karta hai maslan kuda khana aur hamaam waghaira.

4. girja ka naya aur buland hona deen main kamzori aur musalmanon ki madad chhodne ki daleel hai.

5. agar kisi ne khwab dekha ki girjagar gaya ya jal gaya aur us par bala naazil hui toh ye kalma imaan ki bulandi aur mushrikeen ki nakaami aur nifaaq ki daleel hai aur keena ki dalaalat us ke muntazimeen par bhi hoti hai.

6. agar kisi ne khwab dekha ki girja kaleesa main tabdeel ho gaya ya kaleesa girje main badal gaya toh taabeer hai musalman mukon ke kaafir bashindon par koi haadsa waaqe hoga jo un ki zillat ka baais banega.

7. agar kisi ne apne aap ko yahudiyon ki ibaadat gaah main dekha toh daleel hai us shakhs ka mazhab un ke mazhab ki tarah hai.

8. agar kisi ne dekha ki us ka ghar girja hai toh us ka qaul eisayiyon ke qaul ke manshaba hoga ye apne ghar ko ahale hawwa ka theekana banyega aur woh ahale bidaat aur nafarmanon ka maskan hoga kabhi us ki taabeer badshah ke gussa se ki jaati hai aur girja ki dalaalat mandarjah zail par bhi hoti hai qabristaan quhba khana sharaab khana bidaat ka adda moseeqi haal noha ghar sog manae ke maqaamat adal hujj aur qaid khana waghaira.

9. agar kisi ne apne aap ko girja ghar main dekha agar woh us main allah taala ka zikar kar raha hai aur ro raha hai ya kaaba ki taraf muh kar ke namaz padh raha hai toh us ke andar amwaat dekhne ki wajah se buzdili hogi ya phir namaze janazah par dalaalat karta hai.

10. kisi murde ko girje main dekhna daleel hai ki woh ahale asyaan ke saath aag main mahboos hua hai.

11. khwab main girje main daakhil ho kar ahale girja ki taraf ibaadat karna mard ke liye kufar maasiyat zina ya sharab ya kisi gunahe kabeera main mubtala qaum ke saath ikhtilaf karne ki daleel hai aur aurat ke liye kisi ayesi shaadi main shareek hone ki daleel hai jis main gaana bajana ho ya kisi ayese janaze main shaamil hone ki alaamat hai jis main janaa fazaa noha aur shoor wa ghogha ho.

girja rahib ki jhopdhi

1. us ki dalaalat khilwat husne seerat izzat o inqata par hoti hai lazat ko tark karne beewiyon ko talaaq dene aur bhaiyon se judaai akhtiyar karne par bhi dalaalat karta hai aur kabhi girja dekhna amraaz makulaat o mashrubaat main se pasandeeda cheezon ko tark karne ki taraf bhi ishara hota hai.

2. mareez ka khwab main girja dekhna us ke marne aur lazaat ko tark karne par dalaalat karta hai.

3. khwab main girja banana martaba ke buland hone ki daleel hai.

4. khwab main naya aur khubsoorat girja dekhna beewi par dalaalat karta hai aur qile par bhi dalaalat karta khususan agar badshah dekhe aur kabhi us ki ruiyyat badshah ke liye apne dushman par gaaib hone ki basharat hoti hai kabhi girja dekhna safar wa hasht aur doston se judaai ki alaamat hota hai aur soomaa ki dalaalat raees aur sultan par bhi hoti hai aur girje ka girna munhdam hona ya kisi aur tarah haadsa waqe hona us shakhs ke un hadsaat ka shikaar hone ki daleel hai jo girje se maabbir hain.

5. us ki taabeer bhi keena yahudiyon ki ibadaat gaah ki taabeer ki tarah hai aur kabhi girja dekhna zawaal gham wa sadqah dene ki daleel hai aur shar se nijaat ki alaamat hai.

6. mareez ka khwab main girja dekhna us ki maut ki taraf ishara hota hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!