اسلام
khwab mein Ghubaar dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki ghubar us ki mulk ki cheez par jama hai daleel hai ki usi qadar maale haraaam karega aur agar dekhe ki ghubaar zameen se aasman tak hai daleel hai ki us mauqa ke log jo kaam karte hain us se ruk jayenge.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ka chahra ghubaar se par hai daleel hai ki us ko ranj aur azaab pahuchenga farmane huq taala hai “us din chahre ghubaar aalooda honge un par kaluns jami hogi.”
ghubaar
1. khwab main agar koi shakhs dekhe ki woh ghubaar par sawar hai toh ye maal milne par dalaalat karta hai, is liye ki ghubaar mitti hai aur mitti ki taabeer maal hai.
2. agar koi shakhs dekhe ki ghubaar aasmaan aur zameen ke darmiyan main hai toh ye daleel hai us mashtaba kaam ke upar ki jis se nikalne ka raasta maalum na ho.
3. jo shakhs khwab main dekhe ki woh apne haathon ya kapdon ko ghubaar se jhadh raha hai toh ye daal hai ki khwab dekhne wala muhtajgi ka saamna karega. baaz hazraat ne ye taabeer bayaan ki hai ki khwab dekhne wala lambi zindagi paega.
4. khwab main agar koi apne aap par ghubaar dekhe toh ye dekhne wale ke safar karne par dalaalat karta hai, aur baaz hazraat ne us ki ye taabeer bayaan ki hai ki dekhne wale ko jihad ke zariye se maal haasil hoga.
5. agar koi khwab main hua, kadak aur bizli ke saath ghubaar ko dekhe toh us ilaaqe main shadeed qahat padega.
6. agar koi shakhs ye khwab dekhe ki woh ghodhe par sawar hua aur ghodhe ko dodhaya jis se ghubaar udhi toh daleel hai us baat par ki us ka martaba buland hoga aur woh nemat main padh kar itraane lagega aur baatil raaste par chalte hue fitna main padh jayega.