اسلام

khwab mein Shahi Kalark Hasibe Deewan dekhna

Haasibe deewan (shahi kalark)

1. agar kisi shaskhs ne khwab main sahibe deewan ko dekha toh daleel hai woh aadmi azaab main mubtala hoga bil khusus agar haasib ne hisaab main sakhti ki.

2. badshah ke hisaab ke kai darje hain.

3. agar kisi ne saheeh taur par mukammal hisaab deed ya toh daleel hai ki us ki qadar o manzilat badhegi aur rizaq main wasaat haasil hogi.

4. agar dekhe ki mukammal hisaab na de uska toh us ki qadar manzilat main kami aayegi aur ayesa aadmi nuqsaan authayega.

5. agar dekhe ki us se maalum deewan ka hisaab liya jaa raha hai toh ye us ke biddati aur gumrah hone ki daleel hai aur us se mawakhaja bhi hoga. kabhi deewan se muraad nama e aamaal bhi hota hai.

6. agar dekhe ki hisaab lene wale use khush khabri suna rahe hain ya un se khushbuyein phut rahi hain ya un ke kapdhe achhe hain toh ye aamaale saaleh par daleel hai.

7. agar us ke bar aks dekhe toh aamaal main kotahi karne ki taraf ishaara hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!