اسلام

khwab mein zulm dekhna


1. sahibe iqtadaar logon ka khwab main zulm karna logon ko halaak karne aur gharon ko barbaad karne main taajeel karne ki alaamat hai.

2. ahale ilm ahale quraan ka khwab main zulm karna allah taala ki taraf se gunahon ke maaf hone ki daleel hai.

3. baaz ahal taabeer ka kahna hai ki khwab main khud ko zaalim paana muhaaji ki alaamat hai.

4. khwab main apne nafs ke zulm ka aatraaf karna allah taala se apne gunahon ki maafi mangne ki daleel hai.

5. khwab dekhna ki woh shakhs us ke liye baddua kar raha hai jis par us ne zulm kiya hai toh sahibe khwab ko allah taala ke azaab se darna chahiye.

6. khwab dekhna ki woh mazlum hai aur apne upar zulm karne wale par baddua kar raha hai toh daleel hai ki woh zaalim par ghalba paega.

7. kisi ne khwab dekha ki us par zulm karne wala shakhs uske liye baddua kar raha hai. toh ye sahibe khwab ke liye basharat hai. is liye ki baddua khud us par laut jaayegi.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!