اسلام

khwab mein Zaeef Dekhna


(kamzor)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main zaeef martaba ka nuqsaan hai aur agar dekhe ki us ka sar zaeef hua hai daleel hai ki us ki izzat aur martaba kam hoga. aur agar dekhe ki us ki aankh zaeef hui hai daleel hai ki us ka deen kamzor aur zaeef hoga aur agar dekhe ki us ka gosht zaeef hua hai daleel hai ki us ki aurat ya khadima beemar hogi. aur agar dekhe ki us ki naak zaeef hui hai daleel hai ki us ki izzat aur martaba kam hoga aur agar khwab main dekhe ki us ka deen kamzor hua hai daleel hai ki behooda baatein karega. aur agar khwab main dekhe ki us ki gardan zaeef hui hai daleel hai ki amaanat adaa na karega aur agar dekhe ki us ke mohre kamzor hue hain daleel hai ki logon ko gheebat karega. aur agar dekhe ki us ka haath kamzor hua hai daleel hai ki us ki aurat beemar hogi aur agar dekhe ki us ki kalaai beemar hai daleel hai ki us ki maan ya farzand beemar hoga aur agar dekhe ki us ki baazu beemar hai daleel hai ki us ki tadbeer aur raay bekaar hogi. aur agar dekhe ki us ka pistaan zaeef hai toh bhi yahi taaweel aur agar dekhe ki us ki anguli zaeef hai daleel hai ki us ki ladki beemar hogi aur agar dekhe ki us ka pet zaeef hua hai daleel hai ki us ka pusht o panah shakhs zaeef hoga aur agar dekhe ki us ka sureen zaeef ho hai daleel hai ki us ke khushiyon main se kisi buzurg ka haal bura hoga. aur agar dekhe ki us ki raan zaeef hui hai daleel hai ki us ke maal ka nuqsaan hoga aur agar dekhe ki us ka zaanu zaeef hua hai daleel hai ki us ke maal ka nuqsaan hoga aur agar dekhe ki us ka jism zaeef hua hai daleel hai ki ghamgeen hoga.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!