اسلام
khwab mein Sirka dekhna
1.hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sirka khwab main maale halaal hai barkat hai aur uske khane ki taaweel nek hai chunancha aanhazarat sallallahu alayeh wa aaleh wasallam ne farmaya behtareen saalan sirka hai aur baaz ahal taabeer ne bayan kiya hai ki khwab main tarash sirka gham wa andowo aur khwab main sirka farosh aadmi jhagdalu mard hai.
2.khal (sirka)
(1) khwab main roti ke saath sirka ki khana parhejgari, barkat ke saath maal, daraaji, umra aur fazuliyaat main kam padhne ki daleel hai.
(2) uski talchat ki taabeer qaleel munqat waala maal hai jo na qabil altafat ho.
(3) sirka sirkadaan baandi aur khema par dalaalat karte hain.
(4) khwab main sirf sirka peena apne ghar waalon ke saath dushmani ka muaamla karne par dalaalat karta hai, isliye ki usko peenain sse muh main tangi mahsus hoti hai aur muh ki taabeer qareebo rishtedaaron ka ghar hai.
(5) qaydi ke liye khwab main sirka nosh karna qayd se khulasi ki basharat hai.
(6) baaz ahal taabeer ki raaye ke mutaabiq sirka baa barkat rizaq par dalaalat karta hai.
(7) wo sirka jis main khalal waqe ho sakht mushkat talab kaam main mukhat sirf karne par dalaalat karta hai.
(8) kabhi sirka ki dalaalat zawja, aulaad ya amal main khalal waqe hone par hoti hai.
(9) kabhi uski dalaalat ibaarat main mushkat uthane par hoti hai.
(10) kabhi sirka ki dalaalat dost par bhi hoti hai.