اسلام

khwab mein Gard dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke mulk ki cheez par gard jami hai daleel hai ki us ko usi qadar maal haasil hoga aur agar dekhe ki zameen o aasmaan ke darmiyan gard jama hai daleel hai ki us jagah main koi poshida kaam hoga ki us se kisi tarah bahar aaye.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ka chahra gard aalood hai daleel hai ki us ko ranj aur dukh pahunchega aur agar dekhe ki gard aur khak us ki milkeeyat par jami hai daleel hai ki usi qadar maal payega.

hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main gard teen wajah par hai 1. maal 2. bala aur fitna 3. huq taala ka azaab.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!