اسلام

khwab mein Sheesha (bottle) dekhna

Sheesha


hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main botel aurat hai aur kahte hain ki khadim hai jo auraton ki khidmat karta hai lekin payedar hota hai. agar khwab mian dekha ki kisi ne khali botel di hai daleel hai ki darweshi aurat karega aur agar dekhe ki us botel main roghan gul banfasha hai toh deendar aurat par daleel hai.

hazrat maghribi rahmatullah alayeh ne faramaya hai ki khwab main botel roghan ki maldar aurat hai aur agar dekhe ki us main se roghan sar par mila hai daleel hai ki aurat ke maal se us ko kuch milega. aur agar dekhe ki botel main se sharbat piya hai jese sharbat anaar wagera daleel hai ki usi qadar aurat ka maal milega aur agar dekhe ki botel safed bilor ki aur pakiza hai daleel hai ki parsa aur khubsoorat aurat se shaadi karega aur agar dekhe ki botel tooti hia daleel hai ki us ki aurat halaak hogi aur agar dekhe ki botel zaaya hogai hai daleel hai ki aurat ko talaaq dega.

hazarat ismaeel ashaas radiallah anah ne farmaya hai agar dekhe ki us ke paas botel hai aur us main gulaab ya koi meethi cheez hai daleel hai ki khush tabaa aur muwaafiq aurat chaahega aur agar gulaab tarash dekhe toh us ki taaweel awwal ke khilaaf hai aur agar botel main koi achhi cheez dekhe daleel hai ki parsa aur khubsoorat aurat karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab botel dekhna teen wajah par hai. 1.bajamaal aurat 2. kaneez 3. ghar ka khadim

zajaaj (sheesha ka nach)

1. khwab main sheesha thodha ho ya zyada pareshani ki alaamat hai lekin ye ki woh kuch arsah hi rahegi kyonki us ko baqaa nahin.

2. agar kisi ne bartan main dekha toh ye us par aasaani hogi, aur us ki taaweel ye hai ki ye aurat ke singhar ka ek hissa bhi hai.

3. agar kisi ne sheesha dekha aur koi cheez us par mukhaffi ho toh woh zaheer ho jaayegi kyonki sheesha main koi cheez posheeda nahin rah sakti, baqi jo sabz, surkh, jard sheesha se jo sheeshein khushusi banai jaati hain ya sipi aur moti se banai jaati hain toh ye maal, beeweeyan aur aulaad main cheezein hain ayese hi ye dikhlawe aur nifaaq ki bhi alaamat hain.

4. aur us ke zareeye se jo ilaaz kiya jaaye toh ye ulmaa aur hukma par dalaalat karta hai.

5. agar kisi ne khwab main sheeshe ka tukdha ya sipi moti ke saath khareedi ya bechi toh ye aakhirat par duniya ko akhtiyar karne aur neki par gunah ko tarjeeh dene ki alaamat hai, ya woh apne deen se murtad ho jaayega.

qawareed (sheesha saaz ya sheesha faroosh)

khwab main us ki ruiyyat saaf zindagi guzaarne aur jaahilon ke saath madaarat karne par dalaalat karti hai. aur un se israar o moz saadir hone par bhi dalaalat karta hai.

baloor (sheesha)

khwab main baloorad dekhne ki taabeer aurat se ki jaati hai.

1. chunancha agar koi shakhs khwab main baloor ke bartan ka maalik bana toh ye taabeer hai ki kisi nafeesa aurat se nikah karega.

zajaaj (sheesha saaz)

1. khwab main ye apne aap se dhoka, maal par ghor, ahmakon ki dosti aur un ke saath rahne wale par dalaalat karta hai, sheesha saaz rumi londiyon ke dallal par bhi dalaalat karta hai.

almirat (sheesha)

1. khwab main sheesha gharoor takabbur ki alaamat hai. baaz kahte hain sheeshe ki taabeer aurat hai.

2. jo dekhe ki us ne sheesh main apni daadhi siyah dekhi haalanki us ki daadhi bedaari main siyah nahin hai toh woh logon ki nazar main mukarram o muhtaram hoga aur duniya ke maamle main us ki jaah o manzilat ki tashheer hogi magar deeni lihaaz se mashhoor nahin hoga sheesha main dekhna shaadi ki alaamat hai, agar us ki beewee ghayeb ho toh us ke paas aajayegi agar woh sultaan ho toh maazul hoga, baaz kahte hain ki sheesha aadmi ka muqaam o martaba bhi dalaalat karta hai.

3. chaandi ka sheesha dekhna jaah o manzilat ke khatam hone ki nishani hai.

4. agar khwab main sheesha toot gaya hai toh us ki beewee wafat paegi.

5. agar saaf sheesha dekhe toh us ki pareshaniyan door hogi.

6. zindagi aalood sheesha aadmi ki buri haalat ki alaamat hai.

7. agar sheesha main khot ho toh woh ek badhi pareshani main hai.

8. aur jo dekhe ki woh sheesha main dekhta hai toh ishaara hai allah taala us se naaraz hain, woh allah taala ka har haal main naa farman hai.

9. sone ka sheesha deeni quwaat, muhtaaji ke baad istaghna aur izzat ke baad motuli hone ki daleel hai.

10. khwab main mareez agar sheesha main dekhe toh ye us ki maut ki daleel hai. sheesha safar aur hamal ki bhi daleel hai. aur us main dekhi hui shai ki taabeer us cheez ke aatbaar se hogi.

11. chunancha sheesha main dekhi jaane wali cheez aurat, toh us ke haan ladki hogi.

12. agar woh manzoor cheez mard ho toh us ke haan nareena aulaad hogi.

13. agar aadmi sheesha main apni shakal ke siwa koi aur surat dekhe toh ye maali ya aqli nuqsaan hone par dalaalat karta hai.

14. agar khwab main khud ko aurat pae toh beti ataa hogi aur shaadi karega ya baandi khareedega.

15. agar qaidi apna chahra sheesha main dekhe toh qaid khana se rihai hone ki khush khabri hai.

16. aur jo dekhe woh khud sheesha ban gaya hai, toh use apni izzat o wajaahat ke mutaalik nagawar surate haal pesh aayega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!