اسلام

khwab mein Shaftaloo (aadhu) Dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shaftaloo zard beemari par daleel hai agar mausam par hai toh thodha nuqsaan hai aur agar shaftaloo zard nahin hai aur sheereen hai toh kaneez par daleel hai aur agar apne waqt par hai toh us ko maal milega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shaftaloo paanch wajah par hai 1. kaneez 2. ladka 3. beemari 4. maal 5. musaafir aadmi ki taraf se munafaat aur agar dekhe ki shaftaloo ki ghutli todhi hai aur khane main kadhwi hai toh gham o andwa par daleel hai. agar sheereen hai daleel hai ki be asal aadmi se usi qadar maal aur munafaat haasil karega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!