اسلام

khwab mein Seena Dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki seena khwab main shareeat hai farmane huq taala hai (kiya jis ka seena allah ne islaam ne islaam ke liye khol diya hai.) agar khwab main dekhe ki us ka seena farakh ho gaya hai ki us ke sab kaam sanwar jaayege aur agar dekhe ki us ka seena tang ho gaya hai daleel hai ki us ke deen main khalal hoga, aur agar dekhe ki us ke seene par sabz khat likha hua daleel hai ki huq taala us ko karaamat ataa farmayega aur agar dekhe ki us ke seene par neela khat likha hua hai daleel hai ki us ke deen main khalal padhega aur bager kalma shahadat ke marega aur agar dekhe ki us ke seene se baal munde hue hain daleel hai ki us ka qarz adaa kar diya jaayega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ka seena main dam ghuta hua hai ki saans nahin le sakta hai daleel hai ki deen aur duniya us par kashada ho jaayege aur dekhe ki us ka seena garam hai aur baaqi jism sard hai daleel hai ki us ka dil kisi se laga hua hoga.

hazrat daaniyaal alayeh alsalaam ne farmaya hai ki agar dekhe ki su ka seena tang hai daleel hai ki tang dil hoga aur seena farah dekhe daleel hai ki shaad kaam aur khush hoga aur baaz ahal taabeer ne bayan kiya hai ki agar kafir apne seena ko farah dekhe toh musalman hoga farmane huq taala hai “allah taala jis ki hidaayat chahata hai us ka seena islaam ke waaste khol deta hai”.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main seena dekhna saat wajah par hai (1) ilm o hukumat (2) sakhawat (3) imaan (4) kufar (5) aatbaar (6) murg (7) bukhl.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!