اسلام

khwab mein seb (appeal) dekhna

Seb Phal
Nafaah (seb)

khwab seb dekhna aulad aur haseen chahron par dalaalat karta hai kabhi sebe hamt par bhi dalaalat karta hai.

1. badshah ke khwab main seb dekhna uski mumlikat par dalaalat hai aur taazir ke liye us ki tizaarat, zameendar ke liye zameen ki fasal par daal hai

2. chunancha kisi ko khwab main seb mil jaaye woh ya seb khaye toh us ko naseeb hogi

3. baaz ulmaa taabir ka kahna hai ki meetha seb rizak halaal ki alaamat hai aur tarsh seb ki taabeer maal haraam hai.

4. kisi ne dekha ki badshah ne uski taraf seb phenka hai toh taabeer ye hai ki woh uska ayelchi hai jis ke saath us ke tamni aur khwahish mutaalik hai.

5. seb ka darkhat ayese momin mard ki daleel hai jo logon ke qareeb rahta ho.

6. kisi ne khwab dekha woh zameen main seb ka darkhat laga raha hai toh taabeer hai woh kisi yateem ki parwarish karega.

7. kisi ne dekha ki woh seb kha raha toh daleel hai usko maal milega jis par dusron ki nazar lagi hogi, aur agar seb darkht se chun kar kha raha hai toh taabeer ye hai ki usko kisi shareef aur mashoor shakhs ki taraf se maal milega.

8. khwab main seb ginnna diraham ginne ki taraf ishaara hai.

9. kisi ne khwab dekha woh masjid hai aur soong raha hai toh daleel hai sahibe khwab ki shaadi hogi.

10. usi tarah agar koi aurat majlise fasq main seb khati hui apne aap ko dekhe toh taabeer hai ki woh mashoor hogi aur agar kisi maaruf jagah main khaye toh daleel hai ki bachcha janegi.

11. khabhi khwab main apne aap ko seb khate dekhna zahoor deushman ki alaamat hai.

12. kabhi seb shahoot aur jamaa par bhi dalaalat karta hai.

13. khatta seb tafriq wa nuqsaan wa takleef ki alaamat hai aur tarsh seb ka darakht khoon ki alaamat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!