اسلام

khwab mein Gheebat Karna

1. khwab main gheebat karna bedari main barkat ko khatam karne par dalaalat karta hai is liye ki gheebat hasnaat ko us tarah kha jati hai jese lakdi ko aag kha jaati hai.

2. agar koi khwab main dekha ki woh kisi insan ki gheebat kar raha hai, agar woh gheebat muhtaji ke baarein main hai toh ye alaamat hai ki muhtajgi us ki taraf lotegi.

3. aur woh gheebat kisi aib ke baare hai toh ye daleel hai ki aib us ki taraf lotega.

4. usi tarah agar muhtaji aur aib ke alawah kisi aur ke saath gheebat ho toh gheebat karne wale ko usi cheez ka saamna karna hoga. khwab main gheebat karna bedari main nuqsan main padhne par bhi dalaalat karta hai. agar koi insan kisi ki gheebat kisi wajah se kare toh ye alaamat hai ki us bande ko usi cheez ke saath aajmaya jayega.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!