اسلام

khwab mein Saiban Dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main saiban kameena badshah hai agar dekhe ki saiban ke neeche baitha hai daleel hai ki ayese badshah ki khidmat karega aur agar dekhe ki saiban us par gira hai aur us ko kuch takleef nahin hai daleel hai ki badshah us par ghussa karega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekha ki saaiban pasham ya soot ka hai aur us ka rang safed ya sabz hai daleel hai ki zaalim badshah ki khidmat karega.

zarbiya (sheedh, saiban)

ye khwab main rizaq, fawaid aur manaa par dalaalat karta hai kabhi ye us par bhi dalaalat karta hai ki jo maal ki hifaazat karti hai jo jese tirpal, godam, thela wagera kabhi dekhne wale ke ghar par bhi dalaalat karta hai jis main us ke ahalo ayaal, kharamo hasham jamaa hote hon, ya bazaar par jis se us ko faayeda hota ho ya khet par jahan woh jaanwaron ke zareeya kashat karta ho aur us zameen se nafaa ki tawaqaa rakhta ho.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!