اسلام

khwab mein Loot (ghaarat) dekhna


Ghaarat (loot)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki us ka maal aur nemat logon ne loota hai daleel hai ki gham aur museebat main giraftar hoga.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki lashkar islam ne kufar ka mulk liya hai aur us ko ghaarat kiya hai daleel hai ki kaafiron par gham aur museebat aayegi aur agar dekhe ki kufar ke lashkar ne ahale islam par loot machai hai daleel hai ki musalman gham wa andwa main mubtala honge.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ghaarat ka dekhna chaar wajah par hai 1. ladaai 2. nuqsaan 3. gham wa andwa 4. arzaani narkh

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!