اسلام

khwab mein Latkana dekhna


1. kisi ne khwab dekha ki woh chhat se zameen ki taraf bazariya rassi latak kar neeche aa gaya toh taabeer ye hai ki sahibe khwab wara ikhtiyar karega aur us ke khatir apni zarooriyat ko qurban karega.

2. kisi ne dekha woh oopar se neeche gir gaya toh taabeer ye hai ki jis ke saath us ne ummeed wabasta ki thi us se na ummeed hoga.

3. kisi ne apne aap ko keechad ya tar zameen se phisalta hua dekha toh daleel hai ki woh deen ya duniya ke aatbaar se zawaal pazeer hoga.

4. kabhi girne ki taabeer baat cheet ke lihaaz se giri hui baatein karne se bhi ki jati hai.

5. ahale quraabat ko ghair munasib cheez ki taraf latkana maslan darinda ya hashraat ki taraf toh ahale shar ki taraf meelan ki alaamat hai gaye bakri ki taraf tadlil ahale khair ki taraf meelan ki alaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!