اسلام
khwab mein Lagar Bagar dekhna
1. uski taabeer sajishi qism ka zaalim dushman ya saahra budhi aurat hai chunancha kisi ne dekha ki woh lagar bagar ka gosht kha raha hai toh taabeer hai woh mashoor hoga aur us ka sabab maamlum nahin hoga albtta sahari hi ke zariye us ka hal hone ki ummeed hogi.
2. khwab main us par sawari karna mazkura sifat ki aurat ke saath nikah karne ki daleel hai lagar bagar ki dalaalat aurate sahira ya kisi ghair maaruf shakhs ki beewi par hoti hai jo sahibe hasab na ho.
3. kabhi us par sawari karna hukumat paane par bhi dalaalat karta hai aur kabhi zabaa dekhna raazon ke faash hone aur fazool kaamon main maghgool hone par dalaalat karta hai yahi taabeer maada lagar bagar dekhne ki hai aur kabhi us ki dalaalat khansi mushkil par bhi hoti hai.
4. kisi lagar bagar ko khwab main teer marna bad soorat dhoka baaz aurat ke saath marasilat karne ki daleel hai aur us ko bandooq ya patthar se marna us qism ki aurat par tohmat lagane ki alaamat hai.
5. usko talwaar se marna us qism ki zubaan daraaz aurat karne ki alaamat hai.
6. khwab main lagar bagar ka doodh nosh karna mazkura sifaat wali aurat ke us ke saath khayanat aur ghaddari ka maamla karne ki daleel hai.
7. khwab main uski khaal ya us ki haddiyon ya baalon main se kuch milna sifaat mazkura se muttasif aurat ki taraf se maal paane ki daleel hai aur mazkura lagar bagar dekhna gham geen qism ke aadmi dekhne ki daleel hai.