اسلام

khwab mein Lagaaam dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki lagaam tooti ya zaaya hui hai daleel hai ki us ke martaba aur buzurgi main nuqsaan hoga aur agar dekhe ki ghodon ki tarah us ke sar par lagaam hai daleel hai ki roza rakhega aur gunahon se tauba karega.

hazrat ali radi allah taala ahna ne farmaya hai ki jo shakhs taabkaara aur bad khasaal hai us ke muh main lagaam daali jati hai.

hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main lagaam nek aadmi ke sar par hoti hai ki humesha malik ke hukam main hota hai aur azaad sar achha nahin hai aur bayaan karte hain ki khwab wala ba adab aur danaai wala shakhs hota hai.

hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main lagaam teen wajah par hai 1. sharaf aur buzurgi 2. roza rakhna 3. adab aur danaai aur khwab main lagaam farosh wilayat ke kaamon ki tadbeer karne wala hai.

khwab main us ko apne haath main dekhna maal o nemat ke saath ataat o farma bardari ki alaamat hai.

khwab main lagaam khair ya shar ki tabedaari hai jo shakhs dekhe ki us ke paas lagaam hai toh mushkil amoor us ke taabe honge.

1. uski dalaalat har kaam main tadbeer karne aur maali quwat par hoti hai lagaam ki dalaalat badshahon ke wafadaar aur muhtaaz par bhi hoti hai.

2. kisi chopaye ya tatari ghode par lagaam daal kar sawar hona ayesi hukumat milne ki daleel hai jismein us waqt tak koi dakheel nahin ho sakta jab tak shakht mazboot qism us se na li jaye.

3. kisi sawari par bhagair banao singhar ke lagaam ke saath sawar hona uski tawaza aur uske baatin ke zaahir ke muqable main behtar hone ki basharat hai aur lagaam ki dalaalat salamati par bhi hoti hai.

4. khwab main apne muh main lagaam daal dekhna fazool wala yaani baaton se bachne aur salamati ki alaamat hai.

5. agar mazkura khwab ayesa shakhs dekhe jis ka adaalat main kyees chal raha ho toh ye us kayees ke mazor hone ki daleel hai.

6. ghode ke lagaam ko kata hua dekhna ghode ki hifaazat karne wale khadim ki daleel hai.

7. ghode se jo log maabir un ke liye galaam asmat ki alaamat hai.

8. kabhi uski dalaalat amwaar ki zakaat par bhi hoti hai.

9. khwab main lagaam ka sar se ya haath se girna maamlat ke uljhane aur halaat main fasaad waqe hone ya beewi par haraam hone ya us ke nikah main ghair mahfooz hone ki daleel hai.

10. lagaam daalna kabhi gunahon se rukne par aur zor rakhne par dalaalat karta hai.

11. tooti hui lagaam badshah ke liye behtar hai magar us ke mulk ke liye us ki taabeer achhi nahin hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!