اسلام
khwab mein Kankri dekhna
1. us ki dalaalat murdon, aurton aur chhote bachchon par hoti hai aur kabhi us ki dalaalat safed rang ke gune hue darahim par bhi hoti hai is liye ki ye zameen se liye jaate hain aur us ki dalaalat, ilm aur shaar ki hifaazat aur un ke ahsaa par bhi hoti hai aur kankri hajj, rami al jamar, sakhti, shiddat, asbaab aur asmat waghaira ki bhi alaamat hai.
2. kisi ne khwab dekha ki aasman se ek parinda utra aur masjid se ek kankri utha kar chala gaya toh daleel hai ki us masjid main namaz padhne walon main se ya aam logon main kisi saleh shakhs ka inteqaal hoga.
3. kisi nek mareez shakhs ya masjid main namaz padhne wale shakhs ne khwab dekha ki ek parinde ne aasman se utar kar masjid se kankri uthai toh ye bhi sahibe khwab ke marne ki daleel hai.
4. parine ko kaleesa se kankri uthate dekhne wale main fasadi ki alaamat hai.
5. apne ghar ya kisi ghair maaruf makaan se kankri uthate hue parinde ko dekhna sahibe khwab ke bachche ya kisi aur shaksh ke halaak hone ki taraf ishara hai.
6. khwab main halqah zikra ya kisi aalim ke makaan ya masjid se chand kankriyan utha kar un ko apne kapde main rakh lena aalim aur quraan se kuch haasil karne aur kankriyon ki miqdaar ke mutabiq zikra allah se mushfaa hone ki daleel hai.
7. baazar ya kisi darakht ya kisi aur jagah se kankriyan uthana duniyawi fawaid aur darahim jo tijarat se haasil hon ya phalon ya sadqah aur sawal ke zariye kuch haasil khone ki daleel hai.
8. badshah ki khidmat karne wala kisi darakht ke peeche se kankri uthaye toh badshah ki taraf se ataa ya milne ki alaamat hai.
9. samandar main tijarat karne wale ke liye ye khwab samandar se fawaid haasil hone par dalaalat karta hai.
10. kisi taalib ilm ke liye ye khwab kisi aalim se ikisab faiz ke daleel hai.
11. sahibe aulaad ke liye ye khwab beewee ki taraf se hibah aur koi cheez milne ki aur be aulaad ke liye aulaad ki khush khabri hai.
12. khwab main dariya main kankri marna maal ke gharq hone ki taraf mayashshar hai.
13. kunwein main kankri maarna nikah ya khadim khareedne ki alaamat hai.
14. aur shahad ke ya khane ke ya kisi aur bartan main ya paani ki tanki main kankriyan maarna apne paas jo kuch maal hai us ke zariye bamiqdaar kankriyan ayese saaman tijaarat khareedne ki alaamat hai jis par woh jagah aur us main kuch hai dalaalat karta hai.
15. khwab main kisi jaanwar maslan sher, cheetah, bandar, tiddi aur un jese dusre jaanwaron ko mausam hajj main kankriyan maarna anqareeb hajj main jaakar shaitaan ko kankriyan maarne ki daleel hai.
16. ayaam hajj ke alwah dusre ayaam main mazkurah khwab dushmanon aur faadion par bad dua karne ya un ko bura bhala kahne ya un ke khilaaf gawahi dene par dalaalat karta hai.
17. mazkura jaanwaron main se kisi aur jaandaar cheezon maslan kabutar ya kisi insaan ko kankri maarna saleh aur nek logon aur pakdaaman aurton ki gheebat aur gaali dene aur un ke khilaaf baatein karne ki daleel hai.
18. baaz dafaa kankriyon ki dalaalat daanishmandon par hoti hai.
19. kabhi us ki dalaalat gunahgaron ke liye tauba aur kaafiron ke liye hidaayat par hoti hai kabhi us ki dalaalat gawahi dene par bhi hoti hai is liye ki nabi kareem sallallahu alayehi wasallam ke dast mubark main kankriyon ne tasbeeh padhi thi.
20. rait ki tarah kankriyan uthana bhi marz par dalaalat karta hai.
21. kankriyon par chalna shar aur khusumat par dalaalat karta hai. kabhi kankriyon ki dalaalat maut par hoti hai is liye ki kankriya qabaron ke upar daali jaati hain.
22. kabhi us ki dalaalat sahibe maashiyat par bhi hoti hai is liye ki ye hazraat wajne ashiya main kankriyon se bhi kaam lete hain aur kahbi us ki dalaalat sakht kalaam par bhi hoti hai.
23. kaseer kankriyan mashgooliyat sunne aur us ko qabool na karne ki daleel hai.