اسلام
khwab mein Kaleji khana ya dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaleja aish khush aur nemat o maal par daleel hai jo us ko haasil hoga aur aasaani se milega aur agar dekhe ki us ke paas kaleja ka dher hai daleel hai ki bahut saa maal aur nemat haasil karega aur agar dekhe ki kaleja muh main rakha hai aur nigal nahin saka hai daleel hai ki us ki nemat aur maal dusron ki qismat main aayega.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaleja ka khana chaar wajah par hai 1. maale halaal jo aasaani se milega 2. farakh rozi 3. nemat 4. khush aishi.