اسلام

khwab mein Kalaai dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki haath ki kalai khwab main dost aur maatbar shareek hai agar dekhe ki us ki kalaai qawi hai daleel hai ki us ko doston aur shareekon se kher o munafaat pahunchegi aur agar dekhe ki us ki kalaai tooti hai daleel hai ki dost aur shareek us se juda hoga.

hazrat jaabir rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki haath ki kalaai par bahut se baal hain daleel hai ki dost us se juda honge aur ghamgeen hoga aur agar dekhe ki us ne apni kalaai se baal munde hain daleel hai ki qarz se sar khurd hoga.

1. khwab main baazu main dard mahsoos karna hazan aur un cheezon ke baatil hone ki alaamat hai jo haath se anjaam paate hain aur us main dard shuru hona adam hazam ki taraf mayashshar hai.

2. khwab main baazuon par baal ugna maqrooz hone ki daleel hai.

3. nange baazuo wali aurat ki dalaalat duniya par hoti hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!