اسلام

khwab mein Kaghaz dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaghaz maal aur buzurgi hai agar dekhe ki us ke paas safed aur pakiza kaghaz hai daleel hai ki usi qadar maal aur buzurgi payega aur agar ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaghaz ilm aur daanish hai agar sahibe khwab parsa hai aur dekhe ki us ke paas bahut se kaghaz hain daleel hai ki fazal aur ilm main shohrat payega aura agar sahibe khwab mufsid aur jaahil hai toh us ki taaweel khilaf hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaghaz ka dekhna chaar wajah par hai 1. aurat 2. buzurgi 3. daulat 4. markar aur heelah.

1. agar kisi ne khwab dekha ki woh warq par likh raha hai toh woh us cheez ka munkir hai jo uske aur logon ke darmiyan hai baaz ne kaha hai ki katib ki taabeer ghamgeen museebat aur heraan aadmi hai allah taala usko apni taraf raasta dikhayega aur usko us gham se nijaat dega.

2. agar kisi ne dekha ki us ke haath main warq hai toh uski haajat puri hogi.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!