اسلام

khwab mein Kaba Sharif dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaaba shareef ka dekhna khaleefa islam dekhna hai aur har ek shakhs ka kaaba hai jo zyadati aur nuqsaan ki kaaba main dekhega khaleefa islam hogi agar dekhe ki us ne kaaba ka tawaf kiya hai toh us ke deen ki islah par daleel hai aur khaleefa islam raahat payega aur agar dekhe ki us ne ahraam bandha hua hai aur rukh kaaba ki taraf hai toh us ki islahiyat ki zyadati hai aur agar dekhe ki us ka makan kaaba ho gaya hai aur log ziyarat ko aate hain daleel hai ki hifazat karega aur izzat aur martaba payega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar badshah dekhe ki kaaba main gaya hai daleel hai ki khaleefa se buzurgi payega aur agar dekhe ki kaaba gira hai ya jala hai daleel hai ki khalifa ka haal bura hoga aur agar dekhe ki us ne kaaba main se koi cheez li hai daleel hai ki us ko khalifa se faaida hoga aur agar dekhe ki kaaba main namaz padhi hai daleel hai daleel hai ki khalifa se us ka kaam umda hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki kaaba ka asal iman aur musalmani hia aur agar apne aap ko kaaba main dekhe daleel hai ki dushman ki taraf se sharaarat se aman main rahega aur us ki dua qabool hogi farmane huq taala hai ki aur jo shakhs us main daakhil hoga aman main hoga aur agar dekhe ki hajre asawad ki daraf rukh kar ke bosa deta hai daleel hai ki haj karega aur agar dekhe ki aanhazrat sallallahu alayehi wasallam ki qabar mubarak ki ziyarat kar raha hai ya muqaame ibraheem alayeh alsalam ko dekha hai daleel hai ki hajj ko jayega aur salamati se wapis aayega aur agar apne aap ko kaaba ki chhat par dekhe toh bad mazhab hone par daleel hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaaba chaar wajah par hai 1. khaleefa 2. imam 3. iman aur musalmani 4. khauf se sab tarah ka aman.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!