اسلام

khwab mein insan ka qad dekhna

1. khwab main insaan ke qad ka lamba hona fitna hai. neez kabhi ye bukhal par bhi dalaalat karta hai aur ek dusre ke muqaable main maali bartari aur aage badhne par bhi dalaalat karta hai.

2. khwab main lambe qad ka chhota hona koi achha shagun nahin hai. ye qadar ki pasti ya maut ke qareeb hone ke daleel hai.

3. agar kisi ne khwab dekha ki uska qad apni had se badha hua hai ye bhi uski maut ki daleel hai ya apne martabe se girne ki daleel hai.

4. agar kisi ne apne qad ko chhota paaya toh uska auhdaa us se chhin liya jayega ya woh jis auhde ka ummeedwar hai usko nahin milega.

5. pust qad hona muhakamat aur mukhasamat main shikasht khane ki daleel hai. usi tarah chhota hona jang main maghlub hone aur mukhasimat ki alaamat hai is liye ki chhota hona zillat hai. taalibe wilayat ke liye lamba qad wala hona wilayat milne ki basharat hai. badshah ke liye ummeed ke pura hone ki alaamat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!