اسلام

khwab mein Goondhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai aata gundhne ki taaweel deen ki durusti hai aur gaihun ka aata gundhna ayese maal ki daleel hai ki jo tijarat se haasil kiya hoga aur agar khameer utha hua hai toh fasaad ki daleel hai aur khawb main baajre ka aata gundhna thode nafaa ki daleel hai jo us ko haasil hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmtaullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ne khameer kiya hai ya khareeda hai ya us ko kisi ne diya hai agar jau kha khameer hai toh deen aur salahiyat ki durusti hogi aur agar khameer gundam se hai toh maale halaal tijarat se haasil karega aur agar bajre ka khameer hai toh thoda nafaa payega.

hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main khameer dekhna teen wajah hai 1. deen ki zyadati 2. munafaat 3. maale halaal.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!