اسلام
khwab mein ghutna dekhna
1. khwab main aadmi ki kawish aur mashiyat ke mutabiq matlab haasil karne main sakht mahnat se taabeer hota hai khwab dekha ghutne ki jald sakht ho gai hai toh ye us ki quwat mashiyat ki taraf ishara hai.
2. aur agar dekha ki us ki jild utar gai hai toh daleel hai us ko mashiyat main shafaqat uthani padegi.
3. aur agar dekha ki us ki jild moti hai aur us main waram aur mail kuchal hai toh daleel hai ki uski mashiyat ki kawish se maal haasil karega aur woh maal jo us se mahnat o mashakkat se kamaya tha woh chala jayega.
4. aur dau ghutne badan ki quwat uski harkat aur achhe kaam ki taraf ishara hai.
5. agar daunon tandrust aur taaqatwar hon toh ye safar ya kisi aur naqal wa harkat ki daleel hai aur ayese aamaal par bhi dalaalat karta hai jo woh karega aur badan ki tandrusti par bhi dalaalat karte hain.
6. aur agar un main dard ya koi aur beemari dekhe toh ye kaamon main ghutnon ke bojhil hone ki taraf ishara hai.
7. agar beemar hai toh ye us ki maut hai musaafir ke liye ghutna us ki sawari jaanwar waghaira hai lihaza us main jo paish ayega usi nisbat us tarah ki jayegi jis tarah upar zikar hua.
8. aur dau ghutne bhai chaara aur shirakat se bhi taabeer kiye jaate hain.
9. aur kabhi un se muraad aaqa aur paaon se muraad unke khadim hote hain.
10. aur kaba se ruku wa sujud ka mukammal hona bhi muraad hota hai ayese hi insaan ka lena dena harkat wa sukun safar wa hazar par bhi dalaalat karta hai ayese hi maal ka jamaa karna us ka kharch karna bhai chaargi ulfat wa muhabbat par bhi dalaalat karta hai.
11. agar kisi ne dekha ki us ka ghutna bada ho gaya hai ye us ki gaddi sakht ho gai hai ye us ki haalat achhi ho gai toh agar woh kisi tangi main hai toh ishara hai allah taala woh sakhti door karega aur kabhi us se muraad namaz par mudawat aur us ke aadaab wa sharwat ko baja laana hota hai.
12. aur agar dekha ki woh jod se juda ho gaya hai ya toot gaya hai ya us main koi zakham pad gaya hai ya bahne wala khoon toh ye us ki naqal wa harkat main taatil ya sukun main ashtaal paaya jaana hai aur agar safar ka iraada rakhta hoga toh us se baith jayega aur kabhi us se muraad maal se zaaid haasil karne se maazur hona hota hai aur agar us ke aur kisi aur ke darmiyan muhabbat hai toh daleel hai ki woh khatam ho jayegi aur kabhi us se muraad sawari aur jaanwar ki kami aur taatil bhi hota hai.