اسلام
khwab mein Chataai dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main boriya ek safla aur khasees mard hai aur be asal aur zaeef haal aurat hai aur dekhne wala logon se malaal payega aur agar dekhe ki boriya bana hai aur faarigh ho gaya hai toh daleel hai ki apna kaam khatam karega aur agar khwab main dekhe ki ghar ke liye boriya binta hai toh daleel hai ki aurat karne main mashgool hoga.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi khwab main dekhe ki us ke paas boriya hai ya us ko kisi ne diya hai toh daleel hai ki us ko aurat ki taraf se boriye ki badai aur chotai ke mutabiq faaida pahunchega.
khwab main chatai dekhna khadim ya badshah ki majlis dekhna hai agar koi shakhs khud ko chatai par baitha dekhe toh ayese mushkil kaam main mubtala hoga jis ke sabab use nadamat uthani padegi agar koi shakhs khud ko chatai main lapeta dekhe toh use tangi ya paishab main rukawat paish aayegi kabhi chatai se muraad bistar bhi hota hai.