اسلام

khwab me Ghaas dekhna


1. khwab main sabza dekhna deeni durustgi aur khair ki daleel hai.

2. khwab main apni hatheli par ghaas ughana apni beewi ko kisi dusre ke saath dekhne ka ishara hai.

3. haath ke pusht par ghaas ughana us ke marne aur us ki qabar par ghaas ugne ki alaamat hai.

4. khwab main ghair munasib jagah maslan masjid ghar o ghair hain ghaas ugna daleel damaadi hai.

5. kisi ke badan par sabza ugana khushaali aur khair ki alaamat hai agar us ke tamaam badan kaan aur aankh waghaira ko haawi na ho.

6. logon ke haathon par ya jahan nale guzar rahe hain ghaas dekhna usi saal ke khushaali hone par dalaalat karta hai.

7. kabhi jism par ghaas ugana guna par dalaalat karta hai.

8. ayesi jagah main sabza guna jo us ke liye zarar rasan hai taabeer ke lihaaz se na pasandeeda hai.

9. mareez ke badan par sabza ugana us ke marne ki taraf ishara hota hia aur kabhi ghaas ki dalaalat maash chaupaye aur duniya ke amwaal jis ke andar allah taala ne insaan ke liye rizaq muqarrar kiya hai par hoti hai is liye ki yahi ghaas gosht doodh makkhan ghi shahad oon baal khaad main tabdeel ho kar insaan ke liye rizaq banta hai ye balakal paani ki tarah hai jis par insaan zindagi ka madaar hai.

10. khwab main khud ko ghaas ke andar dekhe aur ghaas jama karne ya khaane ki taabeer sahibe khwab ki haalat ke aatbaar se hogi.

11. chunancha ghani ke liye mazeed maaldaari ki aur faqeer ke liye ghani hone ki alaamat hai.

12. ye khwab taarak dena shakhs ke liye phir dena ki taraf raghbat karne aur fitne main padhne ki taraf ishara hai.

13. aur mubaah ghaas ki dalaalat rizaq khabees aur aish haqeer par hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!