اسلام

khwab me Anbar (ek khushboo hai) Dekhna



hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki us ke paas anbar hai daleel hai ki usi qadar munafaat haasil karega. aur agar dekhe ki us ne bahut saa anbar jamaa kiya hai aur phir paaya hai daleel hai ki apni himmat ke mutabiq aur mulk paega aur agar dekhe ki us ne kisi anbar diya hai daleel hai ki woh shakhs us se munafaat paega. aur agar dekhe ki us se anbar khoya gaya hai daleel hai ki us ka maal nuqsaan paega aur agar dekhe ki us ne kisi ke rukhsaar anbar mila hai daleel hai ki us ke saath neki karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne faramay hai ki khwab main anbar ka dekhna chaar wajah par hai 1. munafaat 2. muraad ka haasil hona 3. matlab ka paana 4. nek taareef.

anbar

1. khwab main anbar buland martaba shakhs se maal wa nafaa ka hasool hai.

2. agar anbar istemal kare toh achhi taareef ki alaamat hai. kabhi anbar se muraad woh badhi badhi amlaak hoti hain jis se khwab nafaa haasil hoga. us se muraad phaldaar baaghaat bhi hote hain ya us se woh ilme nafees muraad hota hai jo ulma se haasil kiya jaaye. neez us se samandar se haasil hone wale munafaa bhi muraad hote hain.

3. khwab main ood o anbar ko aag lagana deen main bidaat, maal o jaah ka khatma ya cheez ka gair mahal main istemal hai. kabhi us se khidmate sultan bhi muraad hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!