اسلام

khwab main Shehad Ki Makhi dekhna

Kandwa (shehed ki makkhy)

agar koi khwab main dekhe ki us ne shehed ki makkhy pakdhi hai ya kisi ne us ko di hai. daleel hai ki qaasid us ke paas aaye aur us ko khush karega aur izzat paega, aur chaar din ke baad aurton ki taraf se maqsood aur muraad paega khaas kar agar ye khwab din ko dekhe.

maghis angeesen (shahed ki makhy)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shahed ki makhy farakh rozi mard aur kamao aurat hai. agar dekhe ki us ne shahed ki makhy pakdhi hai. ya us ko kisi ne di hai. daleel hai ki usi qadar maale ghaneemat haasil karega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai. agar dekhe ki us par shahed ki makhyian jamaa hui hain aur us ko kaatti hain. daleel hai ki ranj se maal aur nemat haasil karega, aur agar dekhe ki makhyiyan shahed khaati hain, daleel hai ki us ko usi qadar nuqsaan aur zarar pahunche ga aur agar dekhe ki us ne makhyiyon se shahed liya hai. daleel hai ki kher o munafaat ki baatein sunega, aur un se faayeda dekhega.

nihaal (shahed ki makhiyaon paalne wala)

us ki ruiyyat us main ladaai, inqataaaa amwaal, thakawat aur maslah hone par dalaalat karta hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!