اسلام

khawab me Ata karna (bakhshish)

Ata Akrna


hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main dekhe ki us ko koi cheez bakhshish main mili hai maabar ko daryaaft karna chahiye ki kisi qism ki bakhshish mili hai sona ya chandi ya kapda hai aur bakhshish dene wala na maalum shakhs hai ya maalum shakhs hai mard hai ya aurat jab sab baatein dariyaaft ho jaayein toh taabeer bayaan kare agar woh pasandeeda cheez hai toh us ko khabar aur neki haasil hogi. aur agar bakhshish dene wala maalum shakhs hai daleel hai ki duniya ki taraf se us ko zillat hogi aur agar ata khata ke waade par hai toh ye sab jhoot hai aur agar dekhe ki atali hai aur phir wapis ki hai daleel hai ki us ki neki aur badi ataa dene wale ki taraf ruju karegi. aur agar dekhe ki usko meivon ya kapda ya koi sheerein cheez bakhshish main mili hai daleel hai ki usko us shakhs se taalluk aur milaap haasil hogi aur agar bakhshish dene wala eiesai yahudi hai aur umadah aur achhi bakhshish hai aur us ne khwahish se li hai daleel hai ki uska imaan khatre main hoga aur agar yahudi ya eisai khwab main dekhe ki usko kisi musalman ne bakhshish di hai aur us ne khwahish se li hai daleel hai ki musalman hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ko kisi ne bakhshish di hai aur us ne shukriya ya ada kiya hai daleel hai ki maal ki ziyadati aur tandrusti hogi aur agar shukriya adaa nahin kiya hai toh taaweel khilaaf hai.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki bakhshish koi achhi cheez hai aur bakhshish dene wala koi kameena shakhs hai toh uski taaweel buri hai.

ata (ata karna)

1. khwab main ata karna jis ko diya hai us ki hesiyat ke mutabiq ho agar us aadmi ko jo ziyada ka mustahiq hai kam diya gaya toh allah taala aur sunnate rasool sallallahu alayehi wasallam se aaraaz hai.

2. agar kisi ne khwab main kuch manga use kisi ne kuch nahin diya balki us par naaraazgi ka izhaar kiya toh deeni mukhtalif aur fitna pardaaz logon ke raaste par chalne ki daleel hai.

3. agar dekhe ki qarz khwahon ne use us ke maal se ata kiya th agar mareez hai toh us ki maut aur maal ke fazool kharchi main zaaya hone ka ishara hai agar sahibe khwab tandrust ho toh use pareshani lahuq hogi. ye khwab sirf fuqra ke liye kher aur munafaat ki daleel hai. khwab main har woh cheez jo insaan badshah ke hukum us ko haasil kare toh us ki taabeer hai us nafaa ka hasool hai jo insaan badshah se us kaam ke ewaz haasil karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!