اسلام

khawab me Arsh (takht) dekhna

Arsh

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki arsh khwab main ameer buzurg ya manga hua maal hai agar dekhe ki arsh aaraasta hai daleel hai ki us ki kisi budhe aadmi se sohbat hogi aur izzat aur nusrat paega. aur agar arsh ko haqeer dekhe daleel hai ki logon ke aage zaleel hoga aur agar apne aap ko arsh par betha hua dekhe daleel hai ki woh kisi bade aadmi se milega aur us se izzat aur martaba paega aur agar dekhe ki arsh se neeche aaya hai toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main arsh ka dekhna panch wajah par hai 1. kisi buzurg ki sohbat, 2. bulandi, 3. martaba, 4. izzat, 5. buzurgwari.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!