اسلام
khawab me Arsh E Allah (allah taala ka arsh) Dekhna
1. khwab main allah taala ka arsh khubsoorat haalat main dekhna sahibe khwab ke aqeede ki salaamti ki basharat hai.
2. aur us ko kisi tarah nuqsan ki haalat main dekhna sahibe khwab ke gumrahi aur bidaat main mubtala hone ki alaamat hai.
3. kabhi arsh e ilahi ki dalaalat kher ya shar par hoti hai jis par insaan musallat hota hai.
4. kabhi mansabe azeem ke ahal logon ka arsh ilahi ko dekhna mansabe jaleel par faaiz hone ki taraf ishara hota hai.
5. aur kabhi arsh e ilahi ki dalaalat mandarza zail par hoti hai, zauja, ghar, suwari, dushmanon par kamiyabi, lafzi ishatarak ki wajah se raasha ki beemari aur shaar kahne par bhi dalaalat karta hai. aur arsh e ilahi ko khubsoorat heyat main dekhna nek amal karne par dalaalat karta hai.
6. kisi ne dekha goya allah taala arsh par hai. toh ye sahibe khwab ke yaqeen ke saheeh hone aur neeyat ke durust hone ki daleel hai.
7. khwab dekha goya arsh e ilahi main koi khalal waqe hua hai. toh ye dalaalat karta hai us ke khwahishe nafs aur bidaat main mubtala hone par toh us ko chahiye allah ke huzur tauba kare.
8. badshahat ki islahiyat rakhne wala shakhs ka khwab main khud ko allah taala ke arsh par aur allah ko us se neeche dekhna badshahe waqt ke saath baghawat aur zameen main apne aap ko badha samajhne ki alaamat hai.
9. aur agar sahibe khwab mazkura sifat se muttasif nahin hai toh taabeer hai ki woh waliden ya esa tajkira ya kisi buzurg ka nafarman aur aaq karda hoga.
10. aur agar koi qaazi ye khwab dekhe toh jahaalat ya zulm ke saath fesla karega.
11. aur ghulam ke liye aaqa ki nafarmani ki alaamat hai.