اسلام

Khawab me Aariyat


1. agar koi shakhs khwab main koi qeemati cheez aariyat ke liye le toh sahibe khwab par us ki qeemat ke mutabiq taawaan laazim hoga.

2. khwab main aariyat par kuch dena us ki qeemat ke mutabiq faaida ka hasool hai.

3. majhool aariyat se muraad duniyawi iqbaab hota hai. kabhi aariyat us aar par bhi dalaalat karti hai jis se tahaffuz zaroori hota hai ki insaan fitna se mahfooz rahe.

4. agar khwab main khud ko aariyat par kuch lete ya dete toh agar woh cheez use pasand hai toh ayesi kher ki daleel hai jo fana ho jayegi aur agar woh cheez pasand na ho toh us fana hone wala koi ranj pahunchega. is liye ki aariyat kabhi baqi nahin rahti. baaz hazraat farmate hain kisi shakhs se koi sawari waghera aariyat par lena us baat ki daleel hai ki aariyat par dene wala lene wale ka bojh uthaega.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!