اسلام

khwab mein Jaa Kani Ki Halat ( Naza-al-maut) Dekhna

Khwab me is kaifiyat ko dekhna deen ke baare me munaz-at aur qur-an ke mut-alik shaq karne ki nishani hai – aur kabhi khwab me niz-a kaifiyat taari hona musafir ke liye safar ki teyaari hai aur gair shaadi shuda ke liye shaadi ki daleel hai aur ghar se dusre ghar me muntakal hone ya ek paishe ko chhod kar dusra paisha ikhatiyar karne par bhi dalaalat karta hai – aur kabhi us ki dalaalat adaa-e-karz aur istafa haquq aur talaaq par bhi hoti hai

Khwab dekhe ke wah naz-a ki bina par gumrat al-maut me mubtala hai to isharah hai ke wah khud par ya kisi dusre par julm kar raha hai ALLAH TA-ALA ka farman hai “aur agar tu dekhe jis waqt ke jaalim ho maut ki sakhatiyo me”.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!