اسلام

khwab mein Baghair Mundair Ky Kuwan Dekhna


1. us ki taabeer gham, takleef aur qaidkhana se ki jaati hai.

2. gham ya takleef main mubtala shakhs ya koi qaidi khwab main jab dekhe toh un masaaib se chhutkara haasil karega.

3. yahi khwab agar koi ahle ilm dekhe toh daleel hai ki log us ke ilm se mustafeed honge aur woh apne ilm ki badaulat badshah hon tak rasai haasil karega khasoosan ilm taabeer ke zariye.

4. kabhi us ki taabeer bade hazraat ki taraf se ayese rasaail ki aamad se ki jaati hai jis se us ko farhat naseeb hogi.

5. kabhi ye khwab us ke ristedaaron ke darmiyan chapqalish aur hasad waqe hone aur rishtedaaron ki taraf se us ke saath ghadar karne phir un ke muqable main kamiyabi haasil karne par dalaalat karta hai.

6. kabhi us khwab se sahibe khwab ke na karda faal par tohmat lagne aur phir us se badi hone ki taraf ishara hota hai.

7. kabhi us ki dalaalat gham ke door hone aur zaroorat ke pura hone par bhi hoti hai.

8. kabhi us khwab se ishara safar ki taraf hota hai us ki taabeer woh log aur ashiya hain jin par mundair wala kunwan dalaalat karta hai.

9. kabhi us ki dalaalat aala tanasul ke bekar hone par bhi hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!