اسلام

khwab mein Izrail Alaih Alslam dekhna

1. achhi khabar ke khwahishmand ke liye shadat ki alaamat hai.

2. hazrat izrail alyehi alsalam ko ghusse ki haalat main dekhna bagher tauba ke marne ki alaamat hai.

3. khwab main hazrat izrail alayehi alsalam ko bichhadh dena ya us par ghalba pana marz se nijaat paane ki daleel hai.

4. izrail alayehi alsalam ka ghalib aana sahibe khwab ke marne ki alaamat hai.

5. baaz ulmaa taabeer kahte hain khwab main hazrat izrail alayehi alsalam ki ruiyyat darazi umar ki daleel hai is liye ki tamaam makhluqaat main taweel umar paane wale sirf hazrat izrail alayehi alsalam hain.

6. baaz ki raaye hai ki un ki ruiyyat us kaam main daakhil hone ki alaamat hai jise karna zaroori hai.

7. aur baaz ka qaul hai un ka deedar khauf azeem ki daleel hai.

8. khwab main hazrat izrail alayehi alsalam ki soorat main hona logon par ghalib aane, qadron manzilat ke badh jaane ya badshah ki taraf se saza dena wala maqar hone ya us ke haathon amoor azeema anjaam diye jaane par dalaalat karta hai.

9. khwab main mulk al maut (izrail alayehi alsalam) ko bosa dena meeras paane ki alaamat hai.

10. kabhi hazrat izrail alayehi alsalam ko dekhna kisi majma ke mutfariq hone, mahfooz cheez ke maadum hone, beemaron ke mar jaane, makaanaat ke munhadam hone aur jal jaane, hila dene wali khabrein ya us qism ke waqiyat peshi hone jo rone, cheenkhne aur gireban chaak karne ka sabab ho aane ki daleel hai.

11. kabhi ruiyyate izrail alayehi alsalam taawaan main padhne, maash ke thap hone, tahreek ke khatam hone, kamai se rah jaane par dalaalat karti hai.

12. usi tarah un ki ruiyyat qaid khana main jaane aur wada khilafi karne, ilm ko bhul jaane, namaz chhodh dene, zakaat adaa karne se ruk jaane aur huquqe wajiba ki adaaigi main kotahi karne par bhi dalaalat karti hai.

13. kabhi us ko dekhna dalaalat karta hai gosha nasheeni akhtiyar karne, qeematon ke badh jane, phulon aur faslon ke pure hone par

14. kabhi ruiyyat mulk al maut apni ruiyyat par zabardasti karne wale badshah ya un ke darban ki alaamat hoti hai.

15. sheesha aur aam bartan durust karne wala shakhs ka hazrat izrail alayehi alsalam ko dekhna us ke sanaat o karobar ke kamzor hone par dalaalat karta hai.

16. bar khilaf hazrat izrail alayehi alsalam ko dekhne ke chunancha hazrat israil alayehi alsalam ko dekhna khushi aur allah taala ke hukum se ruhon ka apne jismon ki taraf ruju karne par dalaalat karta hai.

17. kabhi un donon hazraat ko dekhna dushmanon aur qayaamat ke munkareen ko zaleel karne par dalaalat karta hai.

18. kabhi hazrat izrail alayehi alsalam ko dekhna allah taala ke saath muhbbat karne walon ke liye un ki ummeedein bhar aane aur maqsad main kamiyab hone, waadon ko pura karne aur tang dasti se khushali ki taraf aane aur basharat dhanda rasail aane par dalaalat karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!