اسلام

khwab mein Jehaad dekhna


1. Jehaad ki tabeer ayaal ki kot me koshish karne aur achhi taarif aur achhi shoharat hai.

2. Ba-aj aulamaye tabeer ne kaha hai ke jehaad kher ke raah par gamjin hone aur ma-aandeen ke sath munazirah karne par dalaalat karta hai.

3. Kisi ne khwab dekha ke wah jehaad ke lie jaa raha hai to daleel hai ke wah fazeelat aur aakhirat ke darwaaze ko hasil karega.

4. Khwab me kuffar ke sath khud ko qatal karte dekhna ahal-o-ayaal ke maamale me koshish karne ki alaamat hai.

5. Kisi ne dekha ke wah apne isleha ke sath jehaad ke lie jaa raha hai to daleel hai ke wah muslman hai aur deeni ma-alumat me mehnat karne wala aur gunaaho se apne aap ko bachane wala hai namaz aur zak-aat ada karta hai.

6. Khwab dekha ke log jehaad ke lie nikal rahe hai to daleel hai ke wah log maksad me kaamiyabi hasil karenge unke sath allah ta-aala ki madad hogi izzat aur jaah-w-jalaal unko naseeb hoga.

7. Kisi ne dekha wah lad raha hai aur talwaar lekar dushmano ko daaye baaye jaanib se maar raha hai to tabeer hai ke wah apne dushmano par galbah payega.

8. Kisi ne khwab me khud ko allah ke raste me qatal hote dekha to daleel hai wah farhat’ sardar aur behtarin rijk payega.

9. Khwab me jehaad se muh mod lena alhal-o-ayaal ke ma-amale se to jah hatane ki aur un ki islaah-o-tarbiyat me koshish na karne ki daleel hai aur uske deen me fasaad-o-iq-a hone aur khandan ke mutfirak hone ki taraf ishara hai.

10. kisi ne dekha ke wah jehaad me hai aur uski madad ki jaa rahi hai to daleel hai ke uski kamaai me usko munaafa milega.

11. Kisi ne dekha ke wah hamala kar raha hai to tabeer hai usko maal ganimat milega agar haalat-e-jehaad me ho.

12. Allah ke deen ke dushmano ke sath jehaad karna alah julm-o-nifaak ko daraane aur un ke muqabale me madad karne par dalaalat karta hai.

13. Dariya me jehaad karna faqar’ qadam uthane aur halaakat me pad jane ki daleel hai aur dodaryai dushmano ke kaabu me aane ki daleel hai ya apna rizk talaash karne ya un logo se rizk talab karne ki alaamat hai jin par ye dariya dalaalat karta hai.

14. khwab me baagiyon se jehaad karne ki tabeer dushmano se deen ka badlaa lena ya aaba-w-ajadaa ka badlaa lena hai apni ya biwi ke silsile me gairat karne ke daleel hai.

15. Kisi ne khwab dekha ke wah baagiyo ki jaanib se lad raha hai to daleel hai ke wah murtad hoga ya ishaarah ke hai waaldein ki nafarmani karega ya us shakhas ki mukhalifat karega jiski ata-at us par laazim hai ya daleel hai ke namaz chhod bethega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!