اسلام

khawab me Aqeeq dekhna


(ek qeemati patthar hai)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki us ke paas aqeeq hai ya us ko kisi ne diya hai daleel hai ki kisi bade aadmi ka masahib hoga aur us se kher paega. aur agar dekhe ki aqeeq us se zaaya hua hai us ki taaweel awwal ke khilaaf hai aur agar dekhe ki us ke paas aqeeq ka dher hai aur us main se kuch khaya hai daleel hai ki us ke farzand aayega. jo sharf aur buzurgi aur martaba paega.

aqeeq

1. khwab main aqeeq dekhna faqar ka khatma hai. jo shakhs khwab main use jamaa kare toh us ka faqar khatam hoga kyon ki huzur sallallahu alayehi wasallam farmate hain aqeeq faqar ko khatam karte hain yahi pahla patthar hai jis ne allah taala ki wahdaniyat ka iqraar kiya.

2. aqeeq ki anguthi pahnna ayesi mubarak cheez ka maalik banna hai jis ke sabab harfat waghera ke zariye allah taala ki nematein naazil hongi. aqeeqi nasal deen aur neki ki daleel hai. taabeer ke aatbaar se safeed aqeeq surkh aqeeq se behtar hota hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!