اسلام

Aahan(loha)


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki maamuli aahan ka khwab main dekhna khadim hai warna baqadar aahan duniya ka maal milega aur agar dekhe ki us ko kisi ne khwab main loha diya hai toh daleel hai ki us lohe ki qadar par koi us ko duniyawi maal dega.

hazrat kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main lohe ka dekhna salahiyat aur badshahat se nisbat rakhta hai chunancha huq taala ne quraan majeed main irshad farmaya hum ne aahan ko utara us main sakht ladai aur logon ke liye faaide hain.

agar dekhe ki lohe ko phir se nikala hai toh daleel hai ki us ko sakhti paish ayegi farmane huq taala hai kahdo ki tum patthar ya loha ho jao ya us se bhi badh kar ayesi mukhtalif jo tumhare khayal main aaye.

hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki kisi ke saath jhagda hoga aur agar ye khud aahangar hai toh ye khwab khair o munafaat ki daleel hai aur baaz taabeer bayan karne wale kahte hain ki aahangar ki taaweel badshah aur buzurg hai jo ki aadil aur insaaf karne wala ho.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki dekhna aahangir ko khwab main jabki woh maaruf aur waqif ho toh badshahi ki daleel hai aur agar maaruf ko na kahte toh jo kuch dekha hoga us ki nek aur bad taabeer aahangir ki taraf ruju karegi aur agar khwab main dekhe ki lohe ya peetal ko galata hai toh daleel hai ki woh shakhs logon ki gheebat karta hai aur bura kahta hai.

hazrat jafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki jo cheez khwab main lohe ki khwah sujan dekhe daleel nafaa aur quwat aur wilayat aur tawanai aur dushman par fatah paane ki hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!