اسلام
khwab mein gadi dekhna
1. gardan ki dalaalat un cheezon par hoti hai jo insaan ke deen o duniya zillat o izzat aage badhne ya peeche rahne taareef karne ya shukar ya adaa karne ke asbaab hain aur kabhi gaddi ki dalaalat kisi ke naqsh qadam par chalne par bhi hoti hai.
2. khwab main gardan ka achhi sifaat ke saath mutsif hona maslan mazboot hona ya safed wa chamakdaar hona ya us se khushboo aana ya us se noor chamakna ya lohe ki hona us cheez ke hone ki daleel hai jis ke woh dar pay hai jaisa ki dushmanon se jung ke waqt aagye peeche jaana ladaai ke waqt peeth na phairna sahibe khwab agar matauli ho toh us ka martaba buland hoga ya daleel hai ki us ka qarz adaa hoga.
3. apni gardan ko jhuka hua ya us par phode phunsi dekhna us ki zillat qadam ukhdne aur qarz tale dab jane ki daleel hai aur kabhi us ki dalaalat us ke naqshe qadam par chalne aur parde par matla hone par hoti hai.
4. usi tarah gardan ka moti hona allah taala ke muqarrar karda ahkamat ke baja laane ke liye qawi hone ki alaamat hai.
5. gaddi ka paishani ki tarah hona bhagne ki daleel hai.
6. khwab dekha ki kisi ne us ke gardan apr maara toh daleel hai ki woh apne raees ke liye siyasat karega.
7. apni gardan par baal dekhna maaldaar hone ke saath maqrooz hone ki daleel hai.
8. baal na hona muflis hone ki alaamat hai khwab main gaddi ke baalon ko na modna amanat ko adaa karne aur qarz se sabakdaus hone par dalaalat karta hai.