اسلام

khwab mein Ginti ko Dekhna


1. khwab main paanch hazaar 5000 ya bees hazaar 20000 ya sau 100 tak ginna dushmanon par madad haasil karne ki daleel hai.

2. khwab main saat 7 ya aath 8 tak ginna gham hai.

3. jabki nau 9 tak ginna mushkil kaam main waqua aur fasaadi logon ki maeeyat ki daleel hai.

4. baaz hazraat farmate hain ki dus 10 tak ginna hajj ke liye jaana hai.

5. jo shakhs khud ko chalees tak ginte hue dekhe toh woh apne kisi waade ke kaam main laga hua hai.

6. khwab main tees 30 tak ginna ayese jhute waade ki daleel hai jo dus 10 ke baad hi mukammal ho sakta ho khwab main ek 1 ilm maal shaadi ya aulaad main munfarid hone ki daleel hai kabhi us se muraad kamzori aur mail jaul ka khatam hona hai.

7. khwab main 1 huq jis jaisa koi aur na ho dau 2 kabhi chha 6 se muraad dushmanon par madad ya dushmaon par hujjat ka qayam hai albatta saat 7 ke adad main koi bhalai nahin hai aath 8 aur dus 10 ka adad kaffara yaman hai ya phir us aadmi ka kaffara hai jise hajj main hadi na mile agar koi shahkhs dekhe ki woh ayese darahim gin raha hai jis main allah taala ka naam likha hua hai toh daleel hai woh tasbeehat karega.

8. agar khwab main allah taala ka naam likhe hue deenar gine toh istifada ilm ki daleel hai.

9. agar dirham ya duniyaron ki kitabat tasweer ki tarz par ki ho toh baatil ke saath amoor duniya main maghgooliyat hai.

10. khwab main lou lou moti ginna tilawat quraan

11. jawahar ginna muzakarat taaleem o talam.

12. thikriyan ginna bad zubaani aur fazool baaton main mashgooli hai.

13. agar koi shakhs khwab main moti gaye gine toh un saalon main bahtareen kasht karega.

14. agar oont bama bojh gine toh agar kisan hai toh us ki khaiti main baarish hogi agar wali hai toh dushmanon se maal haasil karega lekin jis qadar oont par bojh hai usi qadar use khatrat bhi laa huq honge.

15. khwab main bhens ginna zindagi main shiddat aur muskhilat ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!