اسلام
khwab mein Tauq dekhna
1. khwab main apne gale main tauq dekhna bedaari main bakhil hone ki alaamat hai.
2. aur kabhi aurat ke gale main tauq dekhna apne shohar ke saath ahsaan ka maamla karne aur us ke saath izzat o ahtraam ka bartao karne aur shohar ke maal se kuch haath aajaane par dalaalat karta hai.
3. kabhi aurat ke gale main tauq dekhna us ke shohar par dalaalat karta hai.
4. tauq ka mazboot kashaada chaand wala hona shohar ke sakhi, burdbar aur ghani hone ki daleel hai.
5. us ka naram hona shohar ke badhaal hone ki alaamat hai.
6. lohe ka hona shohar ke mazboot hone ki daleel hai.
7. ladki ka hona shohar ke munafiq hone ki alaamat hai.
8. kisi shaahi aadmi ka safeed ya sabz khalat ke saath apne gale main tauq dekhna sardari milne ki basharat hai.
9. tajir ke liye ye khwab munafa milne, daulat milne aur shohar hone par dalaalat karta hai. aur bazaari aadmi ke liye sahibe martaba hone ki alaamat hai.
10. apne gale main kamzor tauq dekhna deen ke maamle main bukhal karne aur kisi ko faaida na pahunchne par dalaalat karta hai.
11. aur alim ke liye ye khwab apne ilm ko chupane par daaal hai.
12. badshah ke liye apne fesla aur hukum ke silsile main bukhal se kaam lene par dalaalat karta hai.
13. kisi ne khwab dekha goya us ne ek baandi khareedi aur us ke gale main moti ka tauq hai toh daleel hai woh us tijarat ke zareeye quwat o ghalba haasil karega aur kabhi us tijarat ke zareeye bandi haasil karega, baqual baaz tauq kisi kabhi qism ka ho deeni fasaad ki alaamat hai.