اسلام
khwab mein sona zar dekhna
Hazrat ibn seereen rehmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main dekhna mardon ke liye andar wo wa gham ki daleel hai aur aurton ke liye nek aur pasandida hai agar dekhe usne sona paaya hai ya kisi ne usko diya hai daleel hai ki usi qadar uska maal zaaya hoga.
hazrat ibraheem kirmani rahmtullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki sona chandi pighlaye hain dealeel hai ki logon ke taane main padega.
aur dekhe ki sona bechta aur khareedata hai daleel hai ki gham wa andwa pahunchegaa aur agar dekhe ki sone ko kisi badhi bori main bhar kar apne ghar ko legaya hai daleel hai ki maal paega aur agar dekhe ki sona khaya hai daleel hai ki usi qadar maal apne ahal wa ayaal par kharch karega.
hazrat jabir maghrabi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sone ki cheez khwab main mardon ke liye buri hai agar koi sona aur chandi ek jagah pae daleel hai ki izzat aur martaba paega.
aur agar chandi ka kaan dekhe daleel hai ki kisi maaldaar shakhs ki ladhki se nikah karega aur kahten hain ki sunaar khwab main jhuta aadmi hai aur agar dekhe ki sunaar ke paas betha hai aur usse lenden karta hai daleel hai ki uska kaam kisi jhute shakhs se padega.
jahab (sona)
uski taabeer naa pasndeeda maamla aur maali nuqsaan se ki jaati hai. aur baaz ki raaye ke mutabiq uski taabeer ghamoom hai.
(1) khwab main sone ke kangan pahnna meeras milne ki daleel hai.
(2) khwab main sone ki koi cheez pahnna gair kafu main shaadi karne ki alaamat hai.
(3) khwab dekha ki usko sone ka tukdha mil gaya toh yeh maal ke chale jaane ya baqdar sona gham pahunche ya badshah ke us par gazabnak hokar taawaan lene ki daleel hai.
(4) khwab dekha ki sona pighla raha hai toh ishaara hai ki kisi naapasandeeda mukhasmat main phans jaayega aur zaban zadde khaas wa aam hoga.
(5) ki khwab main usko sone ka bada tukdha diya gaya hai toh woh daleel hai ki usko huqmrani aur riyasat milegi.
(6) khwawb main tute hue sone ke tudhe ya deenar dekhna badshah ki ziyarat karke saheeh lutne ki daleel hai.
(7) khwab main sona pighlana sharaf paane aur halaak hone ki khabar hai.
(8) khwab main ghar ka sona ban jaana jalne ki alaamat hai.
(9) khwab main donon haatho ka sona ho jaana unke amal ke khatam hone aur unki harkat band hone ki taraf ishaara hai.
(10) aur aankhon ka sona hona basarat ke khatam hone ki alaamat hai.
(11) khawab dekha ke uskay upar sone ya chandi ya kisi aur johar ka qalada hai toh tabeer hai ke woh wilayat se sarfraz hoga aur badi amanat uski gardan par padegi .
(12) kabhi sonay ki Dalalat mandarja zamee par bhi hoti hai khusihyan Arzaq aamaal saal, ghamon ka daur hona azwaaj alaa ilm hidaayat aur sone se banne wale libaas o zewar.
(13) khwab main sone ka chandi ban jaana un cheezon ki haalat main tabdeeli (kami zyaadati ki surat main) ki alaamat jin par sona daal hai maslan aurten, bachche amwaal, khuddam wagera.
(14) jise chandi ka sona ban jaana un logon ki (azwaaj, ahal, qaum, qabeela) ki haalat ki bahtari ki daleel hai jin par chandi daal hai.
(15) sone se bani hui cheezen ya sone se nishaanzuda aur malbusaat chaadar wagera ya sone se munqqish libaas pahnna allah taala ke qurb haasil karne ki daleel hai aur un ashyaa waalon ke liye aazmaaes ki alaamat hai.
(16) aur sone ke paani ke saath rang dena dunya ke tashba ki daleel hai ua aamaal ahal aakhirat ki daleel hai.
(17) aur khalis sone ya chandi ki dalaatat ikhalaas aur saheeh neeyat, durdust muaamlaat aur muaahadaat par hoti hai.
(18) aur sone ya chandi ke dhalwon se mazeen karna kotah aamaal aur amur ki tabdeeli, sahu wa nasyan par dalaalat karta hai.
(19) dhaga sone chandi ka taglaa rizaq mustamir ki daleel hai usi tarah lambe lohe aur peetal ki taabeer bhi rizaq mustamir ki daleel hai yahi taabeer lambe lohe aur peetal ki hai.